Muhammad Ibn Qasim: Battle & Conquest of Sindh At Age 17

Header Ads

Muhammad Ibn Qasim: Battle & Conquest of Sindh At Age 17

Muhammad Ibn Qasim: Battle & Conquest of Sindh At Age 17

Muhammad Ibn Qasim & Raja Dahir Sen
An Ancient Warrior


Muhammad Ibn Qasim: Battle & Conquest of Sindh At Age 17

Assalamu Alaykum Muazzizeen

Khush Aamedeed 

Paidaish & Silsila-e Nasab

Azeem Shakhs Hazrat Muhammed Bin Qasim Rahmatullah Aleyh ki peydaish 31 december 695 Hijaze Muqaddas ke Shahar - e -Taif me hui thi. aap Al Thaqif qabeele se taalluk rakhte hain. Aapke valid ka naam Qasim Bin Yusuf tha. aap ka silsila - e - nasab kuch is tarah se hai "Muhammed Bin Qasim Bin Yusuf Al Thafaqi" ! (Al-Qasim Ibn Muhammad Ibn Al-Hakam ) aapka laqab Imad Ad Deen tha.


Tarikhi Pasmanjar-

abhi aap ki umr 5 saal hi ki thi ki aapke valid is duniya se rukhsat ho gaye. aap ki parvarish aur tarbiyat aapke taya jaan "Hajjaj Bin Yusuf" ke haathon ki gayi thi. "Hajjaj Bin Yusuf" "Khilafate Banu Umayya ke Khalifa "Marwaan Ibn Abdul Malik" ki taraf se Iraq ke Haaqim muqarrar kiye gaye the.

Battle & Conquest of Sindh

aap khilafate - e - banu umayya ke azeem sipa saalaar aur azeem jangju the jinhone, apne jazba - e - imaan aur beshumaar salahiyaat se 17 saal ki nabalig umr me hi sindh par aalame islam ka parcham lahrakar wahaan se zalim hukmaran raja dahir ke zulm - o - sitam ka khatma kiya. raja dahir ek aisa gira hua aur zalim hukmaran tha, jisne apne panditon ki salah se apni sagee bahan "laadi" se hi shadi kar li thi. Sindh par ibn qasim ke hamla karne ki wajah sri lanka se hijaze muqaddas ki aur haj ke liye aane wale bahut si auraton aur mardon ke jahaz par kuch luteron ne hamla karke use loot liya tha aur usme maujood musafiron ko katl kar diya tha, lekin hamle me bache ek shakhs ne iraq jakar Hakim Hajjaj Bin Yusuf ko is soorate haal se aagaah kiya to unhone raja dahir ko ek khat ke zariye hamle me hue nuksaan ki bharpayi karne aur lutero ko sakht tareen saza dene ka kaha. 



lekin javabi khat me zalim dahir ne aisa karne se saaf inkaar kar diya. tab Hajjaj Bin Yusuf ne apne bhatije Muhammad ibn Qasim ko sindh par hamle ke liye fauran amada kiya. Hajjaj Bin Yusuf  ne 20,000 ke lashkar ki kaman apne 17 saala bhatije Muhammed Bin Qasim ke hawale dekar sindh ki aur kashtiyon ke zariye ravana kiya.san 711 isvi me dariya - e - sindh ke sahil par Muhammed Bin Qasim ne apne 20,000 ke lashkar ke sath 60,000 ke dushman lashkar ko khaufnaak shikast di.zalim hukmran raja dahir is jang me maara gaya.iske baad Muhammed Bin Qasim ne apna silsila - e - fatah lagatar zari rakha. aahista aahista vahaan guzare 4 saalon me Ibn Qasim ne multan, daybal, bharauch aur fir sare sindh ki naapak sarzameen par parchame islam lahrakar paak kar diya. 



doosri taraf Tareeq Bin Ziyad ne bhi spain me apni fatah ka silsila zari rakha hua tha. is daur ko Aalame Islam ka "Sunahra Daur" kaha gaya hai. Muhammed Bin Qasim kyu itne mash hoor hue ek azeem jangju hone ke sath sath ek behtareen muntazim bhi the unhone apne ilaqon me amn o aamaan qayam karne ke sath ek bahtareen intzami dhancha bhi qayam kiya. aap ek naram dil aur mazhabi insan the.

Death -

san 714 isvi me Hajjaj Bin Yusuf  ke intekaal ke baad Marwan ibn Abdul Malik ka bhai Sulayman Abdul Malik takht nasheen hua jo Hajjaj Bin Yusuf se sakht nafrat karta tha isiliye usne ibn qasim ko 714 isvi me iraq bulvaya aur raste me hi dhokhe se unka qatl karva diya gaya.jis vakt aapko qatl karvaya gaya aapki umr sirf 20 saal ki thi lekin kuch muarrikheen aapki umr 24 saal ki batate hain

0 Response to "Muhammad Ibn Qasim: Battle & Conquest of Sindh At Age 17"

Post a Comment

Ads On Articles

Ads In The Middle of Articles

Ads In The Middle of Articles

Ads Below The Articles