A Long Reigning Great Seljuk Sultan: Ahmad Sanjar.

Header Ads

A Long Reigning Great Seljuk Sultan: Ahmad Sanjar.

A Long Reigning Great Seljuk Sultan: Ahmad Sanjar.

A Long Reigning Seljuk Sultan: Ahmad Sanjar - 

Assalamu Alaykum 
Khush Aamdeed  

Muizz Ad Dunya Va Al Deen Abud Ad - Davlah Abul Harith Ahmad Sencer Ibn Melik Shah. aap sultan melik shah ke teesre aur tajuddin safariyya khatun ke doosre bete the sultan melik shah ne teen shadiyaan ki thi.

  • Zubeyde Khatun 
  • Tajuddin Safariyya Khatun 
  • Terken Khatun    

Pahli biwi Zubeyde Khatun se aapki 3 aulaadein, 2 betiyaan aur ek bete ki paydaish hui. bete ka naam Berkyaruq tha  

Doosri biwi Tajuddin Safariyya Khatun se aapke 2 bete hue.

  • Muhammad Tapar 
  • Ahmad Sanjar Seljuk  

Teesri biwi Terken Khatun se aapki 2 auladein hui.

  • Gauhar Khatun 
  • Mahmud  

Ahmad Senjer, Turkey tareekh me Ahmet Sanjar ke naam se behtar jaane jate hain. aapki paydaish October 1085 me Iraq ke Sinjar shahar me hui thi. muarrikheen likhte hain ki aapka naam aapki paydaish ki jagah (Sinjar shahar) ke naam par rakha gaya tha. Ahmad Sanjar ko unke bhai Berkyaruq ne (1097 - 1118 tak) Khurasaan ka Haqim muqarrar kiya tha. Bahut se hukmaraano aur Seljuki shahzadon ne aapse bagavatein ki.  Seljuk saltanat ki takseemi aur khana jangi zaari rahi. 

1102 me Sanjar ne Kashgaria ki Jange Tarmez me Jibrail Arslan Khan ko shikast hui. 1107 me Senjer ne Izz Al Deen HusEyn ko shikast di. Sanjar apni riyasat (Kuhistan aur Tabas) ke gaddaron ko nakaam karne ki muhim me kaamyaab hue. 1117 me Sanjar ne Ghaznavi hukmran Sultan Arslan Shah ko takhte Ghazni se utarkar uske bhai Bahram Shah ko Seljuki Hakim ke taur par Ghazni ki haqmiyat di.   

26 February 1105 me sultan berkyaruq ki maut ke baad unka chhota beta muizz al deen malik shah, melik shah saani ke laqab ke sath takhtnasheen hua, halanki asal taqat uske chacha muhammed tapar avval ke hath me thi usi saal muhammed tapar melik shah 2 ko takht se utarkar khud sultan ban gaya. chand saalon baad 4 april 1118 me muhammed tapar khud is duniya se chal basa.  

muhammed tapar ke baad uska beta mahmud 2 sultan bana to garshasp ibn ali ibn faramurz 2 zalt me pad gaya. uski asal haqiqat adalat ke samne pesh ki gayi. mahmud 2 ne use giraftar karke zibal ke zindan me qayd karwa diya. garshashp 2 vahaan se bhag kar yazd laut aya. usne apne sale (ahmet sencer seljuk) se madad talab ki aur ahmet ko mahmut 2 par hamla karne ka kaha. garshasp ki is baat par amal karte hue ahmet senjer 1119 me magribi iran ki aur apne lashkar ke sath ravana hue.  

usi saal ahmet senjer ne apne bhatije mahmut 2 ko jange saveh me shikast di. jang me senjer ne 5 muslim riyasaton se ittehad kiya tha jisme khud garshasp, sistaan ka ameer aur khwarezm shah ke alava do gumnaam hukmran bhi the. senjer ke lashkar me nizariyon ka lashkar bhi shamil hua tha. fatahyab hone ke baad ahmed senjer ne garshasp sani ki riyasat ko bahal kiya.  

ahmet sencer ne 1141 me garshasp sani ke sath riyasate kara khitai ke hukmraan ke sath smarkand ke paas katwan ki jang hui is jang me garshasp sani mara gaya aur senjer buri tarah se zakhmi ho gaya aakhir me wo apne 15 ghudsavaro ke sath maydane jang se farar ho gaya. sencer ne dariya e syr ke paar sara seljuki khitta kho diya.  ab seljuk saltanat pahle se bhi zyada kamzor ho chuki thi. 

1153 me daurane jang senjer ko uske hi sipahiyon ne qayd kar liya. 3 saal tak qayd rakhne se saltanat me afra tafri mach gayi. khurasaan se seljuki hukumat khatm ho gayi. bilaakhir 1156 me senjer seljuk qayd se kisi tarah farar ho gaya lekin jald hi merv (turkmenistan) me 8 may 1157 ko 70 saal ki umr me ahmet senjer seljuk is duniya se rukhsat ho gaya. use merv me hi dafn kiya gaya. 

1221 me khwarezmiyon aur mangolon ke darmiyaan jang hui khurasan aur turkmenistan musalmaano ki katlgah ban chuki thi.  ek roz mangolon ne merv ke qareeb se guzarte hue senjer seljuk ki qabr ko tabaho barbaad kar diya uske makbare ko bhi tahas nahas kar diya gaya. uski maut ke baad seljukon me khurasani takht ke liye jangein chhid gayi. seljuki shahzade inhi jangon me mashroof the ki 1200 isvi tak khurasaan par khwarezmiyon ka kabza ho gaya.  senjer ki maut ka matlab seljukon ki barbaadi tha.

kyon ki senjer seljuk ko uske baba sultan melik shah aur bhai berkyaruq ke baad ka sabse qabil hukmraan mana gaya hai.senjer seljuk mangolon ki aamad tak sabse labi hukmarani karne wala pahla muslim sultan tha. uski maut tak seljukon ki taqat sirf iran aur Azerbaycan tak hi rah gayi thi. 

dar haqeeqat uske darbaar me maujood shayaron ne use keyhusrev (keykhusrav) ki azmat aur kayaniyon ki shaan bayaan kiya hai. senjer ke daur me faarsi shayar parvaan chadhe the. uske darbar me faras ke chaar sabse bade shayar, muizzi, nizami, aruzi aur anvari jayse bahtareen shayar maujood the.

0 Response to "A Long Reigning Great Seljuk Sultan: Ahmad Sanjar. "

Post a Comment

Ads On Articles

Ads In The Middle of Articles

Ads In The Middle of Articles

Ads Below The Articles