Battle of Al Andalus: Muslim Conquest of The Spain |

Header Ads

Battle of Al Andalus: Muslim Conquest of The Spain |

Battle of Al Andalus: Muslim Conquest of The Spain |

Battle of Al Andalus | Tariq Ibn Ziyad | Conquest of Spain| 

Aaj tareekh - e - islam ki ek azeem shakhsiyat, ek aise jangju aur sipaah salaar ki tareekh bayaan kar rahe hain. aisi azeem shakhshiyat shayad hi unke baad me paida hui hogi.

Battle of Al Andalus & The Graet Conquest of The Spain

A Scene of Battle From The Drama, "The Great Seljuks"


Assalamu Aleykum Muazzizeen 

Khush Aamdeed

Ye baat us vakt ki hai ki jab Islami Riyasat ka Daarul Hukoomat Shahar Damishq (Damascus) hua karta tha, jo abhi Syria [ Mulke Sham ] me maujood hai. Abdullah Ibn Marwan Musalmano ke Khalifa the aur doosri taraf Africa me Musa Ibn Nusayr ki ek azeem - o - shaan Saltanat kayam thi. 

 us vakt Algeria ka ek Qabeela hijrat kar Africa me Musa Ibn Nusayr ki panah me aya tha is qabeele ke sardar ka naam Ziyad tha ,  sardaar Ziyaad ek azeem Sardar hone ke sath sath ek behtareen Jangju aur Sipaah Salaar bhi the. inki salahiyaat se mutassir hokar Musa Ibn Nusayr ne Ziyad ko riyasat ka Hakim aur Sipaah Salaar bana diya tha

 lekin Ziyad kisi jang me shaheed ho gaye the isi wajah se inka qabeela bhi dukhon me ghir gaya. sardaari ke liye koi Qabil shakhs bhi nahi tha aur inke bete Tariq Ibn Ziyad bhi abhi 4 - 5 saal ke hi the tab inki valida ne Tariq Ibn Ziyad ko Musa Ibn Nusayr ke hawale kar diya tha Musa Ibn Nusayr ne hi Tariq Ibn Ziyad ki parvarish ki. 

Tariq Ibn Ziyad ki Paidaaish-

Tariq Ibn Ziyad ki peydaish san 48 Hijri (670 AD) ko ek berber qabile me hui thi. ye qabila Gayr Muslim tha lekin Africa me Hijrat ke baad Ziyad apne pure qabile ke sath Musalman ho gaye the.

Tariq Ibn Ziyad bachpan se hi talvarbazi me mahir hone ke sath sath balaa ke zaheen bhi the apne se badi umr ke ladko ko mashk me hara diya karte the.

inki salahiyato se mutassir Musa Ibn Nusayr ne inhe 18 saal ki umr me hi Tangier
ka Hakim aur Sipaah Saalaar bana diya tha. 

Futuhaat (Conquests)

conquest of Spain (Al Andalus)

Spain ke Gauth King Roderic ke zulmon se pareshan uske ek Hakim Count Julian ne Musa Ibn Nusayr ke paas panaah li

 tab Musa Ibn Nusayr ne Spain ko fatah karne ka jimma Tariq Ibn Ziyad ke supoord kar diya aur unhe 7000 ke lashqar ke sath halaate Spain ka jayza lene ke liye bhej diya lekin vaha jake Tariq Ibn Ziyad ne apna feysla badalkar Roderick se eylaan - e - jung kar diya. 

 710 isvi me Tariq Ibn Ziyad Al Andalus ke sahil par utre vahaan Roderick bhi apne 40,000 ke lashkar ke sath maujood tha Tariq Ibn Ziyad ka lashqar dushman ko dekhkar khauf-zada ho gaya tab Tariq Ibn Ziyad ne apne lashkar ke mukhatib hokar us se kaha,

                                             " Ay mere javano tumhare pichhe samandar hai aur tumhare aage dushman jung ke liye tayyaar khada hai, ab aaj ya to hum raahe haq me ladte hue Shaheed ho jayenge ya Gazi ban jayenge."

 Is khutbe ke baad Tariq Ibn Ziyad ka lashkar purjosh jung ke liye amaada ho gaya aur dushman ko khaufnaak shikast hui lekin Badshah Roderick maidaane jang se haarkar faraar ho gaya. 

San 711 isvi me Vaadi - e - Laka me fir se Badshah aur Tariq Ibn Ziyad mukhatib huye ek khaufnaak jung ladi gayi dushman ko shikast huyi aur is baar Baadshah Roderick bhi mara gaya.

Tariq Ibn Ziyad Ne Apne Khwab Me Rasoole Pak Ki Ziyarat Bhi Ki Thi

 Tariq Ibn Ziyad ke bare me ye bhi kaha jata hai ki khvab me unhone rasoole paak ki ziyarat ki thi aur is dauraan unhe Spain fatah karne par amada kiya gaya tha Tariq Ibn Ziyad isi tarah ta umr Aalam - i - Islam ke khatir ladte rahe aur saal 720 isvi me 37 saal ki umr me aap is duniya - e - faani se rukhsat ho gaye.

Free SEO Tools (Also Try These)

0 Response to "Battle of Al Andalus: Muslim Conquest of The Spain |"

Post a Comment

Ads On Articles

Ads In The Middle of Articles

Ads In The Middle of Articles

Ads Below The Articles